
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :
****************
Alqaab :
Sayyed-ul-Muazzeen, Muazzin-e-Awwal.
*********
Aap ki wilaadat 580 A.D. me Makka me hui.
*********
Aap ke waalid ka naam Rabah aur waalida ka naam Hamamah hai.
Aap ke waalidain Habasha (Abyssinia / Africa) ke the.
*********
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Makka ki ek gali se guzar rahe the. Unho ne ek ghar me se kisi ke rone ki aawaaz suni. Is dard bhari rone ki aawaaz sunkar be-ikhtiyaar us ghar me daakhil ho gaye. Dekha ke ek Habashi naujawaan chakki pees raha hai aur zaar o qataar ro raha hai. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne us se rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ke “Main ek ghulaam hu. Saara din apne maalik ki bakariya charaata hu. Shaam ko thak kar jab ghar aata hu to mera maalik mujhe gamdum ki ek bori peesne ke de deta hai. Jis ko peesne me puri raat lag jaati hai. Main bhi ek insaan hu. Mera jism bhi aaraam maangta hai. Lekin mere maalik ko mujh par zara bhi taras nahi aata hai. Main apni buri qismat par ro raha hu. Kya meri taqdeer me saari zindagi isi tarah ro rokar guzaarna hi likha hai?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Main tumhare maalik se kehkar tumhari mashaqqat to kam nahi karwa sakta kyun ki wo meri baat maanega nahi. Haan, Main tumhari thodi madad kar sakta hu. Tumhari jagah par main chakki peesta hu aur tum so jaao.” Woh Habashi ghulaam bahot khush hua aur shukriya ada karke so gaya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam us ki jagah par chakki peeste rahe. Jab gandum khatm ho gaye to aap use baghair jagaaye waapas tashreef le aaye. Dusre din phir aap waha tashreef le gaye aur us ghulaam ko sulaakar us ki jagah chakki peeste rahe. Teesre deen bhi yehi maajra hua aur subah ko aap khaamoshi se apne ghar tashreef le aaye. Chothe din jab aap waha gaye to us ghulaam ne kaha “Aye Rabb ke bande!, Aap kaun hain aur mera itna khayaal kyun kar rahe hain? Hum ghulaamo se na kisi ko koi dar hota hai aur na koi faa’ida to phir aap ye sab kuchh kis liye kar rahe ho?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Main to ye sab insaani humdardi ke tahet kar raha hu. Is ke ilaawa mujhe tum se koi garz nahi.” Us ghulaam ne kaha “Aap kaun ho?” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Kya tum jaante ho ke Makka ke ek shakhs ne nabuwwat ka ailaan kiya hai?” Us ghulaam ne kaha “Haan, Maine suna hai ke Mohammad ibn Abdullāh naami ek shakhs khud ko ALLĀH ka nabi kehta hai.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Main wohi Mohammad hu.” Yeh sunkar us ghulaam ne kaha “Agar aap hi woh nabi hain to mujhe kalma padhaa’iye kyun ki itna shafeeq aur meharbaan koi nabi hi ho sakta hai jo ghulaamo ka bhi is qadar khayaal rakhe.”
Phir Hazrate Bilaal kalma padhkar Islaam me daakhil hue.
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
*******************
Aap ne 30 saal ki umr me jab Islaam apnaaya to shuru me makhafi rakha. Jab aap ke Maalik Umayyah ibn Khalaf ko pata chala to us ne aap ko tarah tarah ki takleef dena shuru kiya. Woh aap ko garm ret par letakar aap ke upar bade bhari patthar rakta tha. Hazrate Bilaal ne har takleef bardaasht ki magar Islaam aur daaman e Mustafa ko na chhoda aur apne ishq e Mustafa ka ṡaboot diya.
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke hukm par Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Umayyah ibn Khalaf ko dusra ghulaam aur kuchh raqam dekar aap ko aazaad karaaya.
Jab Hazrte Abu Bakr aap ko lekar jaa rahe the tab Umayyah ibn Khalaf ne kaha “Aye Abu Bakr! Tum ne bahot mahenga sauda kiya.” to Hazrte Abu Bakr Siddeeq ne us se kaha “Tum ne sirf Bilaal ko dekha hai aur maine us ke dil me ishqe Rasool ko dekha hai.”
*********
622 A.D. me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Madeena aane ke baad Aap bhi Makka se Hijrat karke Madeena aa gaye.
*********
Aap ne Jung e Badr aur dusri tamaam jung me shirkat ki.
Junge Badr me Aap ne Umayyah bin Khalaf ko qatl kar diya.
*********
Aap Islaam ke sab se pehle Muazzin hain.
2 Hijri me jab Hazrate Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Namaaz ke liye musalmano ko jama karne ke liye Azaan pukaarne ka mashwara diya to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Bilaal ko un ki saaf faseeh aur buland aawaaz ki wajah se Muazzin muqarrar kiya.
Aap hamesha Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath rehte the, Masjid e Nabawi me ya Masjid e Quba me ya Safar me, aur Aap ki Azaan ki aawaaz se ashaaba ko pata chal jaata tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kis maqaam par hain.
Jab Makka fatah hua to Aap ne Ka’abatullāh par Azaan pukaari.
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko apna khajaanchi muqarrar kiya tha aur jab koi shakhs apni haajat lekar darbaar e nabi me aata tha to aap Hazrate Bilaal ko uske liye hukm dete the aur Aap us haajatmand ko us ki haajat ki cheez dete the.
*********
Ek martaba Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne Fajr ke waqt Hazrate Bilaal se farmaaya ke “Aye Bilaal! Yeh bataao ke eimaan laane ke baad tum ne wo kaun sa aisa amal kiya hai jo fazeelat me dusre amal se badhkar hai. Kyun ki maine jannat me tumhare qadmo ki aawaaz aage aage suni.”
Aap ne kaha ‘Ya Rasool-Allāh sallallahu alaihi wa sallam! Mujhe aisa koi amal yaad nahi aata.” Phir kuchh der baad aap ne kaha “Aye mere Aaqa! Main jab bhi wuzu karta hu, chaahe din me ya raat me, to foran main 2 rak’at nafl Tahyatul Wuzu padhta hu aur jab bhi mera wuzu toot jaata hai to main foran wuzu kar liya karta hu.”
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Aye Bilaal! Yehi woh amal ho sakta hai, jis ki wajah se yeh khushkhabari mili hai.”
(Sahih Bukhari, Jild -2, Hadeeṡ -1149)
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke parda farmaane ke baad Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu ta’ala anhu ke iltija karne par Hazrate Bilaal Madeena munawwara me thehre.
Lekin un ke wisaal ke baad Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaaane me Hazrate Bilaal ne un se Jihaad ke jaane ki ijaazat chaahi. Hazrate Umar Faarooq ne Madeena me rookne ki guzaarish ki magar Aap na maane aur Shaam [Syria] ki taraf rawaana ho gaye aur Halab me muqeem hue.
*********
Ek saal baad khwaab me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Aye Bilaal! Kya hum se milna nahi chaahte?”
Aap foran oontani par sawaar hokar Madeena munawwara tashreef laaye. Roza e Rasool par haazir hue aur be-inteha rote hue gir pade.
Jab Aap ko hosh aaya to logo ne Aap ko fajr ki azaan ke liye guzaarish ki. Shuru me mana karne ke baad Hazrate Hasan aur Husain ko bulaaya gaya aur jab unho ne guzaarish ki to Aap ne azaan pukaari aur sab ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke zamaana e zaahiri ki yaad aa gai. Magar ‘Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allāh’ par pahunchkar Aap ki aankho se aansoo jaari ho gaye aur aawaaz halaq me rook gai. Jab Aap ko hosh aaya to bataaya ke “Jab main ‘Ashhadu anna Mohammadur Rasool-Allāh’ kehta tha to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko dekh leta tha. Aaj Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko aankho ke saamne na paaya to Aaqa ke hijr me khud ko sambhal nahi saka.”
Phir usi roz Aap Mulke Shaam waapas chale gaye.
****************
Qaul :
Aap irshaad farmaate hain :
“Deen e Islaam me kisi tarah ka jabr nahi. Hidaayat paane me kisi ko barso lag jaate hain to kisi ko ek pal. Waqt ka ta’ayyun sirf ALLĀH ta’ala hi karta hai.”
*********
Ek din khet me kaam karte karte Aap ki tabiyat naasaaz hui. Aap ghar tashreef laaye to aap ki haalat dekh kar Aap ki biwi rone lagi. Aap ne tasalli di aur farmaaya “Lagta hai ki intazaar aur hijr ki ghadiyaan khatm ho gai. Kal in shaa Allāh main apne Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ke huzur me pahunch jaaunga.”
Aap ka wisaal 20 Moharram 18 Hijri (2 March 640 A.D.) ko 60 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Damascus (Syria) me ‘Baab-us-sagheer’ me hai.
*********
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Bilaal al-Habashi radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.